Tum jao hum se door to ik kaam kar jana,
Kuch pal apne hamare naam kar jana,
Agar aajaye humhain moat tere aany se pehle,
To aa kar mere janazy k Ehtaraam kar jana,
Na rona is qadar k takleef ho humain,
Moat ko bhi mazaaq samajh kar anjaan ban jana,
Main ik din so jaonga sada k liye,
Phir mujhe be wafa keh ker bad naam kar jana,
Jo guzro meri qabar se to Nazrain na pherna,
Mehmaan he ban k Dua Salaam kar jana.











